Wednesday, December 23, 2015

Jashn Chalne Do

Chalne do


Jashn chalne do,
Raqs karne do....



Tum jo aaye ho,
Shaam dhalne do....



Mast mehfil hai,
Dil machalne do....



Saath yaaro ka,
Aur badhne do....




Raat baaki hai,
Jaam chalne do....



Hum jo tadpe hain,
Ab sambhalne do....



Beqaraari hai,
Lutf badhne do....



Is unsiyat ko,
Umdah karne do....



Mere munsib ko,
Yunhi jalne do....


- Brij Rattan Sharma

No comments:

Post a Comment